Kehte hain ki rone se dard kuch kam ho jaate hai.n
Aankho ki tarah dil ki khalish kuch nam ho jaate hai.n
Gaye waqt me jin baato.n ne zakhm pahuchaaye the
Aane waale kal me wahi daastaa.n marham ho jaate hai.n
Is dil ko yahi samjhata hu ki chand aansoo ro le, aaraam ho jayega
Meri takleef bhi kuch kam ho jayegi, aur tera bhi kaam ho jayega
Dil na jaane ab bhi kis zameer aur guroor ki baatein karta hai
Ki wo ro pada jis din, saare zamaane me badnaam ho jayega
Aham aur guroor ki is baazi me apne sukoo.n ko daan.v pe lagaaya hai
Ye baazi haar gaya hu mai.n, aur jeet pe apne mera dil itraaya hai
Wo kehta hai, sukoo.n nahi bakhsh karta, ghairat de raha hu tujhe
Aur main ye hisaab kar raha hu, kya khoya hai kya paaya hai
Sunday, June 20, 2010
Thursday, June 10, 2010
Nasamajh ki samajh
Samajhte hain samajh payenge nahi naasamjhi ki ye baatei.n
Naasamajh hai.n jo ise naasamjhi samajhte hai.n
Naasamajh hai.n jo ise naasamjhi samajhte hai.n
Wednesday, June 2, 2010
Naasamajh hu, vaado pe aitbaar karta hu
Naasamajh hu, vaado pe aitbaar karta hu
Ek roz laut aayega, ab bhi intezaar karta hu
Har baar galat ko galat kehne ke liye galat thaharaya gaya
Aur main bhi ye galti har baar karta hu
Subscribe to:
Posts (Atom)