Mujhe ab bhi yakee.n hai dosti pe,
wafaa ki kasmo pe mai.n ab bhi aitbaar karta hu
Mere daaman ke sukhe patte jab phool me badal jayenge,
mai.n chaman me us mausam ka intezaar karta hu
Sataaya bhi hai tune mujhe rulaya bhi hai kabhi kabhi
Magar ae zindagi meri, tujhe mai.n ab bhi pyaar karta hu
amazing....
ReplyDelete