1.>
Har raat ki tanhaai se hoti hain baatein aajkal…
Baatein bahut saari hain par chhoti hain raatein aajkal…!!!
2.>
Chand roz ho gaye, milta nahi main kisi se in dino
Badh gayi hai.n khud se hi mulaakaatein aaj kal....
3.>
Maikhaane ki jaanib nahi hota hai jaana in dino,
Pyaas dil ki ashqon se hum hain bujhaate aajkal…!!!!
4.>
Chand bewafa dost, kuch matlabi rishtein, ek (pyaara sa) zakhm
Zindagi de rahi hai tu kaisi kaisi saugaatein aajkal...
5.>
Kya batane se kisi ko dard kam hoga kahin,
Ye gham-e-dil khud hi ko hum hain sunaate aajkal…!!!!
NOTE:
--------------------
Odd numbers: Written by a friend "Sachin Kaushik".
Even numbers: tried by me.....
Ne le lo kahin 'bairaag' apne 'usual routine' se aap...
ReplyDeletekabhi kabhi sapne mein ye khayalat daraate hain...!!!
wah waahh...!!!!
yaar ye comment mujhe "Chand khayaalaat" mein daalne the...galti se mishtake ho gaya...!!!
ReplyDelete